FiraagLakshya Bhardwaj ko toh aap jaante he ho, lets introduce you to Firaag. ;) After coming back from Roadies I'm back at doing the stuff I do best; Music!
"Barsaatein" is not the only style I do, Stay tuned and you'll keep getting surprised as I drop more Songs.
This is a short music video and I will be coming out with full 2:30-3:00 minutes songs after this :) | Iss saal, sirf aag |
BARSAATEIN - FIRAAG | Official Music VideoFiraag2019-05-19 | Lakshya Bhardwaj ko toh aap jaante he ho, lets introduce you to Firaag. ;) After coming back from Roadies I'm back at doing the stuff I do best; Music!
"Barsaatein" is not the only style I do, Stay tuned and you'll keep getting surprised as I drop more Songs.
This is a short music video and I will be coming out with full 2:30-3:00 minutes songs after this :) | Iss saal, sirf aag |
The Road has come to an end. Now the Madness will begin as we step into PrinceTown. The man is on his way to become something he never was. Who is to blame? His lover or his blind love for her? Whoever’s fault it may be. What’s done is done now. Now we all gotta witness what happens next. Stay tuned.
NEXT STOP: PRINCETOWN MADNESS ☄️🌪️
CREDITS - Written, Composed & Performed by : Firaag Music Produced by : Prodbylax Mix & Master by : Hrithik (Parallax Productions) Aesthetics by : X Miikey Act Supported by: Alaukik Sharma Promotions and digitally managed by- Phantom Pro Studios Special Thanks to : Aesap & Jaz
LYRICS -
(HOOK) Mein kehke tujhe apna bulaaun na kya Sang dekhe thhe jo sapne sajaaun na kya Banke khudgarz nibhaaun na kya Vaade, mein tujh sa he bann jaaun
(VERSE 1) Aaj phir mujhe ghera jazbaaton ne Dekha tere afsos ni aankhon mai Jaane kaisa madhosh tha kiya mujhe Pata bhi ni chala rakhha patthar baahon mai
Shayad kahin mere pyaar mai kami rahi Woh bhi kahe bina kuch meri bani rahi Aur kaafi zaada farak hai bann’ne aur hone mai Saath chorh, tabhi peeche khadi rahi
Dum ghota inn yaadon ne Jhoote sab un waadon ne Haal mera batladunga toh Bolo kya tum maanoge
Ehsaas hai ab tak haathon mai Nafrat si hai khwaabon se Yaar teri dilaati thhi Toh mod liya muh raaton se
Aankhon pe parde, hain lage kya tere Jo na dikhe, deewana tera, sab haarta hai Tera kehna na kuch, he toh kehta hai sab Mere dil pe kya beetey bas rab jaanta hai
Taqdeer ko apni kosta hoon Le dil ki baatein bolta hoon Par khol ke rakhta dil hoon kyun Kabhi kabhi mein sochta hoon
(HOOK) Mein kehke tujhe apna bulaaun na kya Sang dekhe thhe jo sapne sajaaun na kya Banke khudgarz nibhaaun na kya Vaade, mein tujh sa he bann jaaun
(VERSE 2) Ban jaun kya mein bhi tere jaisa he Bhool jaaun cheez kya hoti hai wafai Chhorunga na dekh koi bhi farak Iss gali jo mein chala phir lautunga nahi
Paana bhi chaahegi toh na choo payegi Apne he aap se tu rooth jaayegi Mera barsega megh aisa kamiyabi ka Uss din se na ghar tere dhoop aayegi
Jo mein chaahta ni, mujhe na bana Khair, galti hai teri bhi toh kya Dil toh lagaya tha meine he Toh bhuktunga mein he toh saza
Yaadein saari, dunga mein daba Na chaahte bhi, ye seekhli kala Jo kal ko dukhaunga dil mein kayi Dosh hoga isme tera
(HOOK) Mein kehke tujhe apna bulaaun na kya Sang dekhe thhe jo sapne sajaaun na kya Banke khudgarz nibhaaun na kya Vaade, mein tujh sa he bann jaaun
✨ Kaisi Ho ✨ The story continues... After speaking his heart out in Tu He Tu, he is asking questions now. He wonders if she even thinks or dreams about him; because he does. He has never loved anyone after her and just isn't able to erase all the memories of her. . The man is changing. He's becoming something he never was. 🌊🌪 This is the beginning of something this world would never forget. ❤️🔥 . JOIN HIM ON HIS JOURNEY AND WITNESS THE MADNESS YOURSELF
Written & Performed by : Firaag Music Produced by : Satyam HCR Mix & Master by : Hrithik (Parallax Productions) Aesthetics by : X Miikey D.O.P : Yash Chhabra & Harshit Wardhan Act Supported by: Bharti Singh Raghav Hair & Make Up : Piku Rao Promotions & Digitally managed by : Phantom Pro Studios Special Thanks to : Alaukik Sharma
(HOOK) Kaisi ho, ab bhi waisi ho Kya karti ho kabhi humein yaad Bolo kaisi ho, ab bhi waisi ho Kabhi aata hai zara sa bhi khayaal
Bolo Kaisi ho, ab bhi waisi ho Kya karti ho kabhi humein yaad Bolo kaisi ho, ab bhi waisi ho Kabhi aata hai zara sa bhi khayaal
(VERSE 1) Sochti ho kya tum, bolo, baare mai humaare Jab dekhti ho, aasmaan mai toot’te taare Laut aate hain kya bolo phir woh nazaare Unn palon ke jo pal thhe humne saath guzaare
Sach kehna chupaana ni Chuppi tum lagaana ni Kasam hai tumhaari Hum poochenge dubaara ni
Hoga toh sab yaad tumhe Ya mujhko bhula diya Kya bas hum he pyaar mai thhe Jo doori ne rula diya
Adhoora sa laage humein ye afsana Dil aata he nahi aur kisi se lagaana Andheri si raaton mai bunu mein taraane Sunaaunga tumhe kabhi toh galli meri aana
Meine ishq tum se kiya Panah di tumhe apni baahon mai Hue jo mujhse tum ho juda Toh jaana, kuch rakha ni vaadon mai
(HOOK) Kaisi ho, ab bhi waisi ho Kya karti ho kabhi humein yaad Bolo kaisi ho, ab bhi waisi ho Kabhi aata hai zara sa bhi khayaal
Bolo Kaisi ho, ab bhi waisi ho Kya karti ho kabhi humein yaad Bolo kaisi ho, ab bhi waisi ho Kabhi aata hai zara sa bhi khayaal
(VERSE 2) Kone mai dil ke rehti hai ek jagah khaali Jabse tum gayi ho Ehsaas bhi hai ke jaisa ho tum yahaan Par dikhti kyun nahi ho
Hawa mein tumhaari Khushbu mill gayi Sannaate mai tumhaari awaaz Hum bhool baithe duniya ko Bas tumko rakhte hain yaad aur
Mudke dekha na kabhi tumne dubara Na humne bhi chorhi kabhi aas Aaogi kabhi phirse milne Iss jhooth ke sahaare li hain saans
Tumko bhulaya ni Khayalon se nikaala ni Kasam hai tumhari Koi tumhare alawa ni
Sach kahun, aansu rukte nahi Har raat fatt’ta hai baadal Yaadein bhi paari mitt bhi koi Jaana dil hai, na hai kaagaz
Adhoora sa laage humein ye afsana Dil aata he nahi aur kisi se lagaana Andheri si raaton mai bunu mein taraane Sunaaunga tumhe kabhi toh galli meri aana
Meine ishq tum se kiya Panah di tumhe apni baahon mai Hue jo mujhse tum ho juda Toh jaana, kuch rakha ni vaadon mai
#firaag #mtvhustle #kaisiho #hindisong #heartbroken #sadsong #sadstatus #love #lovesong #latestsongFiraag - Tu He Tu (Official Video) | Road To PrinceTown Madness | Latest Hit Songs 2022Firaag2022-04-06 | SMOKING and DRINKING is injurious to health. Firaag doesn’t smoke or drink in real life. This video is just like a movie, where Firaag is playing a character. In no way he intends to promote smoking and alcohol consumption.🤗
Tu He Tu 🥃❤️🩹 The story of a man who's mysterious and very secretive. He doesn't speak his heart out and eats up all his feelings. 😶 He's been hurting & killing himself everyday.🔪🩸 . But today, he has broken his silence and so he is left devastated as he tries to confront his emotions. 📢 He realizes and admits his love for a woman who's not in his life anymore. He sings in pain while remembering her and passionately praises her beauty. 🤍 . The man is changing. He's becoming something he never was. 🌊🌪 This is the beginning of something this world would never forget. ❤️🔥 . JOIN HIM ON HIS JOURNEY AND WITNESS THE MADNESS YOURSELF
Written & Performed by : Firaag Music Produced by : Aymix Beats Mix & Master by : Hrithik (Parallax Productions) Directed by : X Miikey D.O.P & Edited by : Angad Kahai Singh Promotions & Digitally managed by : Phantom Pro Studios Artwork : Ak Digitals (Ayan) Special Thanks to : Alaukik Sharma
LYRICS - (VERSE 1) Mein jhooth kyun bolun jaana, ye maamla dil ka hai Hai aashiq tera pakka, sab sach sach likhta hai Hai vaada dil se dil tak, dil na mein todunga Wafa ragg ragg mai basi, jaana tanha ha na chorhunga
Sach kahun, toh ab mujhe raha karaar na Bas teri, hai dil pe yun dhun sawaar Ab toh mein, puchta hoon yahi sawaal Kyun hum hain bekaabu
Kuch toh hai, tujhme jo hai kamaal Aur humein, bhi poora poora aitbaar Woh tu hai, hai mujhe jiska khumaar Sab tera hai jaadoo
(HOOK) Dikhe tu he tu Aake basne lagi hai meri saason mai Ab tu he tu Mere jeene ki wajah Ab tu he tu Neend udne lagi hai meri raaton se Rakhun doori kyun Raha kuch bhi hosh naa
(VERSE 2) Dikhti bas mujhe tu he-tu he Soch ki kashti tere khaabon mai doobi doobi Mein bolun, kya katilaana teri khoobi khoobi Tu meri jaan lena jaaye jaana poori poori
Chorhe kasar na Karre koi asar, woh hassi Teri kamar, bhi jab jaaye jhatak Haan sachhi mujhe kuch ho na jaaye, Ab rukta kahaan hai, hona tera zikarr
Rakhun faasle Mein kyun bhala Lag ja gaale Oh jaane jaan Mein phirta hoon deewana sa, peeche tere kahaan kahaan
Meine likh daale tujhpe hain gaane bhi bahot Meri aarzoo, tujh tak jaayein woh pahonch Aur jis qadar ye dil dhadakta hai, dein tera bhi dhadka
(HOOK) Dikhe tu he tu Aake basne lagi hai meri saason mai Ab tu he tu Mere jeene ki wajah Ab tu he tu Neend udne lagi hai meri raaton se Rakhun doori kyun Raha kuch bhi hosh naa
Dikhe tu he tu Aake basne lagi hai meri saason mai Ab tu he tu Mere jeene ki wajah Ab tu he tu Neend udne lagi hai meri raaton se Rakhun doori kyun Raha kuch bhi hosh naa
#Firaag #TuHeTu #LatestHit #hustle #mtvhustle #mtvhustle2 #hustle2.0FIRAAG - BOSS | 1MIN RAP CHALLENGE VIDEO | Latest Hindi Songs 2020Firaag2020-09-28 | 🌋BOSS🌋
On public demand and also kyunki mera mann bhi tha, 😜 here's my: 1min rap challenge submission.
Special thanks to the following people for helping me out: MAKE SURE YOU CHECK THEM OUT 💯
Witten, composed and performed by- Firaag Music Prod- BMTJ Music rearranged by- Firaag Mixed&Mastered by- Satyam HCR Video shot/directed/edited by- FING
(HOOK) Pooche kaun aaya, kaun aaya Aaya beta boss Aisi rakhi chaud Ki sab khaane lage khauf . (VERSE) Gulliyon mai ghoomun na main leta seedha high-way Aaja le beef karun teri laal, maai ke Ab le tu soch bhai kaisi maut lega tu 6 tak ginunga, situation dicey
3D movies jaise, main sabhi me reach ke bhaar Wild beast faadu g** karun cheer ke saatth (60) They got me bored jaise time beete teen se chaar Main jeena karun tough jaise inka Rishtedaar
Raat mai grind toh subha ka koi hosh ni bro Bhai banaaye, banaaye maine dost ni bro Aur seedhi baat ki, be-khaam ki koi ch*d ni bro Baatein hain salty, tu softy, call 102!
(HOOK) Poche kon aaya kon aaya Aaya beta boss Aisi rakhi chaud Ki sab khaane lage khauf [x4]
Contest organized and supported by-
Insta- @thechasmeesh @rohancariappa @6xbeats #thechasmeesh #1minrapchallenge #artistnahiart #rohancariappa #aayabetaboss #cheerke60 #bossman #desirap #hindirap #bossIs It Too Much - Dhruv Sthetick x Firaag | Official Audio | Latest Hindi Song 2019Firaag2019-12-20 | Is It Too Much is a collaboration between Dhruv Sthetick and Firaag. Spreading some love with the help of music, presenting the chillest love song of the year in this is beautiful chill season.
Some Fun Facts -I met Dhruv Sthetick during MTV Hustle Auditions -Dhruv Sthetick was one of the top 25 Shortlisted rappers in MTV Hustle. -This track was made just in one night. -Totally loved working on this project. :)
Share this video and subscribe to the channel kyunki bahot Ghatak Baatcheet is coming your way and you don't wanna miss the fun.
Artists: Dhruv Sthetick & Firaag Music : Dhruv Sthetick Lyrics : Dhruv Sthetick & Firaag Mixing and Mastering : Dhruv Sthetick Video & Cover Art : Dhruv Sthetick Hook Sample : Shiloh (Is It Too Much To Ask For)
HOOK (Is it too much to ask for, ohhh Yeah, can I put my lips on your skin baby ohhh, yeah can I put my) ×3
Verse 1: (Dhruv Sthetick) Na maanga hai jawaab kisi aur se ye kara sawaal apne aap se ki tu hai meri?, hai tu meri nai? sataaye ye baat behisaab hai
Main khone laga hoon kyun aata na chain mujhe ye bata tu kyun raaton mai dhundhe tujhe ye nayan hoke bekaabu Jaaneman, baat sun leta main, khaab bun tu jo hai, toh rahun tu nahi, toh main bhi kyun
Jaaneman, raat yun kyun na main, rok loon khone doon, khudko main aur tujhe, keh ye doon
HOOK (Is it too much to ask for, ohhh Yeah, can I put my lips on your skin baby ohhh, yeah can I put my) ×2
Verse 2: (Firaag)
Haath mai haath tu thaam le jaana mujhe tu ab paas le mitaade ye doori ye phaasle sawaal ka mera jawaab de
Jo pyaar tu karti hai mere layi sajjti hai izhaar kyun karti nai? kehne se darti hai!? Khoya hua teri zulfon ke jaal mai maar daala mujhe tere intezaar ne peene lagge aaj kal hum jaam likhne lage hain aaj kal teri yaad mai
Tujhko main choo loon kya? baahon mai bhar loon kya? chal tu kuch kehna nai aankhein de sab samjha!
HOOK (Is it too much to ask for, ohhh Yeah, can I put my lips on your skin baby ohhh, yeah can I put my) ×4